Monday, April 16, 2012

Bakht Singh A.K.A Punjab


 Bakht Singh ka Takht,
ek toota sa Darakht,

baitha tha kabhi naaz se,
rootha hai ab rivaayti iss taaj se,

Pehna bhi hai, aur pehna hi nahi,
Sar par to hai, par jo kal tha, wo ab aaj nahi,

Sher bhi tha, Shamsheer bhi thi,
haathon se bani taqdeer bhi thi.

Raj kiya, ab dam bharta hai,
Inqulabi tha , ab fariyad karta hai,

Pehle toota, phir jala,
ab kahin guum hai,
Nashe mein shayad,

Jab Ujda to udd gaya, ghoomne gaya aur shayad ghoom hi gaya,
Dhondta hai ab, kal ko aur aaj ko,
dhoondta hai kya ...? Shayad dhoondta hai.

kabhi badbadata hai, dhamkata hai,
Gurrata hai, zor se gaata hai, fir nashe mein hi so jaata hai,

Bakht Singh uthh Ja,
Nashe mein nahi Masti mein gaa,

Tu hasta hai to achcha lagta hai,
is toote darakht par tu kuchh jachta nahi,

Wo Jo Saccha Baadshah hai,
wo sab dekhta hai, tu zakhmi hai, zaaya toh nahi,
Ab Zinda hai toh uthta kyo nahi ?

1 comment:

Aditya said...

Do promise me you will write more often. Good one btw.